Adam Se Mohammad (SAW) Tak In Roman English,English Lip Urdu Voice(Cardboard, Mohammad Rafi Saab) | Zipri.in
Adam Se Mohammad (SAW) Tak In Roman English,English Lip Urdu Voice(Cardboard, Mohammad Rafi Saab)

Adam Se Mohammad (SAW) Tak In Roman English,English Lip Urdu Voice(Cardboard, Mohammad Rafi Saab)

Quick Overview

Rs.350 on FlipkartBuy
Product Price Comparison
Quran auriski talimaat ko am karne keliye Rasool dll ne aise tariga jaari farmaya tha ke ghair sha'uri taur par bachchaon k ibtedavi akhlagi, deeni taleem-o-tarbiyat baghair kuch padhaye, likhaye hoti chali jaati thi, goya maa ki godh bachche ka primary ibtedayi madrasa tha, sani taleem ki qudrati darsgahein musalmanaon ki masajid thi, sirf al'a taleem ke liye madrason ki zaroorat thi woh bhi har aalim ke makan par is ki jagah hoti thi aur jab majmua zyada hoto ye kaam masjidaon mein hota tha, is zamane mein aloom wa fanoon ke phailao ne ye sara nizam darham barham karke nayi shaki-o-surat ekhtiyar karli, wo zaroorat ke mutabig hona bhi chahiye lekin bachchaon ka primary madrasa jo maa ki godh tha is mein to aaj bhi kuch zyada phalao nahi. Deeni akhlagi taleem-o-zuban bahr haal honi chahiye thi, magar afsos ke ab amoman maa-baap khud hi in cheezon se ghafil wa be-behre hote hain bachchaon ko kiya sikha dein islive jo kaam mad ki godh mein baghair kisi ustaad ke ho sakta tha wo bhi a schools, madrasion mein karana zaroori hogaya iske lige bachchaon Ke zahen ke mutabig bahut se logaon ni kitabein liken, haal mein mere mohtram dost Mohammed Raft Sahab ne is magsad keliye is kitab "Adam BiT se Mohammed #ls tak" ke naam se likhi is mein tamam Anbiya" ke Gisse phir Rasool Aft ki puri seered bachchaon ki zuban mein bade saleege aur shugufta andaz mein likhdi hai, Maine is kitab ko ja baja dekha bahut hi mufeed pay. Meri dua hai ke Allah Taala is kitab ko nafa-o-mufeed aut magbool banave aur musanif ko ajar azeem ata farmaye. Harat Maulana Mufti, Mohammed Shaft