Everything is Psychology(Paperback, Deep Trivedi) | Zipri.in
Everything is Psychology(Paperback, Deep Trivedi)

Everything is Psychology(Paperback, Deep Trivedi)

Quick Overview

Rs.399 on FlipkartBuy
Product Price Comparison
Ye pahli aisi kitaab hai jo samjhaati hai ki kaise aur kyon Sabkuch Psychology Hai. Saath hi jeevan ka sabse pramukh sawaal "kya mehnat va prayatn jaruri hai" ka jawaab bhi deti hai kyonki jeevan toh harhaal mein set karna hi hai. Lekin pareshaani ye ki itni mehnat aur prayatn ke baad bhi jeevan set nahi ho raha hai. Aise mein sawaal uthta hai ki kya itni mehnat aur koshishein zaruri hain? Kya bin kiye kuch paaya hi nahi jaa sakta hai?Bas isi baat ka jawaab dete huye ye kitaab pahli baar 'Doing va Happening' ke peeche ke vigyaan aur psychology ko samjhaati hai. Aur ye samajhna isliye zaruri hai, kyonki 'na karne ke kaaran' itni pareshaani nahi khadi ho rahi hai, jitni 'zarurat se zyada karne ke kaaran'. Jabki achievers sabkuch swayam karne ki bajaay apne jeevan mein bahut kuch hone de rahe hain. Saral bhaasha mein bestselling lekhak Deep Trivedi likhit kitaab "Sabkuch Psychology Hai" brahmaand tatha jeevan ke kayi ankahe rahasya batate huye nimnlikhit baato ke zariye psychology ki ek nayi hi duniya ki sair karaati hai:Kaise particle se planet tak tatha manushya ke mann se lekar jeevan tak ka sabkuch sirf ek psychology hai?Kyon mehnat va prayatn se lekar safalta aur asafalta tak ka bhi Sabkuch Psychology Hai?Kya ye zaruri hai ki kuch karne se hi parivartan aate hain ya 'bin kiye bhi' parivartan hote hain?Prithvi kaise bina kisi prayatn ke arbo varsho se apni dhuri par ghoom rahi hai, vo bhi poore perfection ke saath?Happening kya hoti hai tatha happening mein sthit hokar kaise manushya bina atirikt mehnat kiye sabkuch achieve kar sakta hai?