Kalam Aur Kitab : (Samiksha-Sangrah)(Paperback, Dr. Kishan Tandon Kranti) | Zipri.in
Kalam Aur Kitab : (Samiksha-Sangrah)(Paperback, Dr. Kishan Tandon Kranti)

Kalam Aur Kitab : (Samiksha-Sangrah)(Paperback, Dr. Kishan Tandon Kranti)

Quick Overview

Rs.270 on FlipkartBuy
Product Price Comparison
Prabhoot parimaan mein sahitya srijan kar yashasvi rahe Dr. Kishan Tandon 'Krantikaar', Sahitya Vaachaspati dwara rachit 65vi kriti hai – "Kalam Aur Kitaab". Yah ek samiksha-sangrah hai, jo atyant marmasparshi hai. Isme Bharatvarsh ke 21 sahityakaron ki mahatvapurna evam charchit kritiyon ki parichayatmak samiksha sangrahit hai, jo pustak ki samagr quality par pathakon ka dhyaan aakarshit karti hai.Ise padhkar pathak-varg sahitya srijan ki or pravritt honge – aisi aasha ki ja sakti hai.Sahitya srijan ka path insaan ko amarta ki or le jaata hai, kyunki kritiyan kaaljayi hoti hain. Kisi pustak ki samiksha likha jaana ya uska prakashit hona, us kriti ko vishishtata pradaan karta hai.Isme shabd chayan aur vaakya-vinyas laajawaab hai. Samikshaayein saral, sahaj aur pravaahmayi hain. Yah kriti pathakon ke liye atyant gyaanvardhak, prerak aur upyogi hone ke kaaran sangrahniya hai.