Krishna Ke 200+ Chaukane Waale Satya(Hindi, Paperback, Trivedi Deep)
Quick Overview
Product Price Comparison
Krishna - Sabse Adhik Pooje JanewaleKrishna - Sabse Jyada LokpriyaKrishna - Sabke Dilon ki DhadkanLekin Pramukh Sawal yah ki... Aap Krishna ke babat vaastav mein jaante kitna hai?Kya Krishna ne Sahi mein Syamantak Mani churayi thi?Kya Krishna ne Dwarka mein vaishyaaon ko basaya tha?Kya Krishna ne vaakai 16,108 vivaah kiye the?Kya Krishna ka adhikaansh parivaar unki aankhon ke saamne hi khatam ho gaya tha?Yahi toh baat hai ki Krishna ke babat aap utna hi jaante hain jitna TV serialon mein aapne dekha hai! ...Aur in sabne milkar Krishna ke jeevan ko kya-se-kya bana diya hai! Aise mein koi yah kaise jaane ki unke jeevan mein sach kitna hai aur hawaai kitna? So bas isi uddeshya ke saath "Main Krishna Hoon", "Main Mann Hoon", "101 Sadabahar Kahaniyan", "Aap aur Aapka Aatma" tatha "3 Aasaan Steps Mein Jeevan ko Jeeto" jaisi kai bestselling kitaabon ke lekhak, Deep Trivedi prastut karte hain "Krishna ke 200+ Chaukane waale Saty" jo sabhi pracheen shaastron ki gahri research par aadhaarit hai. Mahabharat, Harivansh Puran, Bhagavat Puran, Garg Samhit jaise 30 se adhik shaastron se researched yah kitaab aapko Krishna ke jeevan ka aisa jaankaar bana degi ki iske baad aapko koi bhi shaastra padhne ki jaroorat hi nahi padegi. Jaaniye apne 'Nayak' Krishna ke jeevan ke 200 se bhi jyada chaukane waale kisse! Yah kitaab Angreji, Hindi, Marathi aur Gujarati mein sabhi pramukh book stores aur e-commerce sites par uplabdh hai.