Lata ke 51 Geeton ki Sargam(Hindi, Paperback, Vinod Kumar)
Quick Overview
Product Price Comparison
Lata Mangeshkar ke geeton ka kaun deewaana nahin hai? Har vyakti har din Lata ji ke geeton ko dhoondh dhoondh kar sunta hai. Unke geeton mein jo madhurta, saadgi, mithas, shokhi, tarunaai aur swar goodhta ( swaron ki gahraai aur unchaai ) paayi jaati hai vo atulneey hai. ‘Lata ke 51 geeton ki sargam’ pustak ke pichhle sanskaran ki apaar safalta ke baad ye naya sanskaran prastut hai. Jo abhi tak is pustak ko nahin khreed paaye hain ve avashya ise khareedkar aanand paayeinge. Ismein laya taal ke saath swarlipi prastut ki gayi hai. Geet ke saath bajaayi jaane wali ek chord ka ullekh bhi kiya gaya hai. Sangeet ki prarambhik jaankaari rakhne vala vyakti aasaani se in geeton ko apne vaady par bajaa sakta hai aur unka aanand le sakta hai.