Learn Namaz With Images (Aao Namaz Padhein Ladkon Ke Liye) Aur (Aao Namaz Padhein Ladkiyon Ke Liye)In Roman English Urdu Roman(Paperback, Al Hasanat)
Quick Overview
Product Price Comparison
Namaaz islam ka Bahut ehem rukn aur Allah SWT se Ta'aluk qayam karne ka sabab hai. Namaaz ko Mohammad SAW ne jannat mein jaane ki zamaanat aur apni aankhon ki thandak bataya hai. namaaz kisi halat mein bhi maaf nahi hai, Garmi ya sardi, bimaari ya sehat, safar mein, aman mein ya jung mein bhi ye fardh adaa karna lazim hai. Mohammad SAW ne farmaya, "Qayamat ke roz bande se sab se pehla sawaal Namaaz ka hoga. Agar woh theek rahi toh woh kamyaab ho gya, aur agar wo kharaab nikli toh woh nakaam aur namurad raha."