Main Gita Hoon(Paperback, Deep Trivedi)
Quick Overview
Product Price Comparison
Bhagavad Gita ki psychology par ek abhootpoorva vyakhyaYuddh prarambh hone se thik pahle Arjuna Krishna se kahta hai ki rajya paane ke liye naa to main bhaiyon ko maarna chahta hoon aur naa hi koi hinsa karna chahta hoon. Dharmshastra bhi iski anumati nahi dete. - Kya aap Arjuna ki baaton se sahmat hain?- Toh fir Krishna Arjun ki baaton se sahmat kyon nahi huye?- Krishna ne Arjuna ko yuddh hetu uksaya ya use sahi marg dikhaya?- Kya yuddh aur hinsa karne ke bhi jaayaz kaaran ho sakte hain?- Sahi kaun hai? Krishna ya Arjuna?- Krishna ko Gita athaarah adhyaay tak kyon kahni padi?Vaakai Gita ek hai va sawaal anek hain...! Waise hi jeevan bhi ek hai tatha sawaal anek hain. Aur in tamaam sawaalon ke jawaab sirf Gita de sakti hai. Kyunki Krishna manushyajati ke pahle "psychologist" hain tatha "spiritual psychology" hi mann va jeevan ke saare sawaalon ke satik uttar de sakti hai. Lekin baavjood iske Gita ke psychological pahluon ki hamesha andekhi kari gayi hai.Main Gita Hoon, Bhagavad Gita ki pahli aisi vyakhya hai jo samast 700 shlokon ke naa sirf "spiritual" balki sampoorna "psychological saar" ko samjhaati hai. First person mein likhi is Gita mein Arjuna sawaal bhi "main" se poochta hai tatha Krishna jawaab bhi "main" se hi dete hain. Isse aisa lagta hai maano hum Gita ka saar ek khoobsoorat kahani ke roop mein Krishna va Arjuna se "live" samajh rahe hain. Deep Trivedi "Main Krishna Hoon", "Main Mann Hoon" tatha "Sabkuch Psychology Hai" jaisi kayi bestselling kitaabon ke lekhak hain. Bhagavad Gita par 168 ghante tak workshops conduct karne ka antarrashtriya record unke naam darj hai. Bhagavad Gita ki psychology par kiye karyon ke lie honorary doctorate ki upadhi se sammanit Deep Trivedi dwara saral bhasha mein likhi is kitaab ke zariye har umr ka vyakti Bhagavad Gita ka poora saar yakeenan badi aasaani se grahan kar lega.Yah kitaab Angreji, Hindi, Marathi aur Gujarati mein sabhi pramukh book stores aur e-commerce sites par uplabdh hai.