Money ki Smart Psychology(Paperback, Deep Trivedi)
Quick Overview
Product Price Comparison
Money ki Smart PsychologyMoney ke sabhi pahluon ko samjhaane waali ek masterpieceAngreji, Hindi, Marathi aur Gujarati mein uplabdhMoney ke peeche mat daudo... Money ko aapke peeche daudne do!Money kamane ka smart tarika kya hai?Money ki kami ko dur kaise karen?Money ko wisely manage kaise karen?Investment ke power ka sahi istemaal kaise karen?Financial problems aur money traps se kaise bachen?Money ki smartness ko kaise tackle karen?In sawalon ke jawaab khojna aaj ke adhunik yug mein jeene hetu hi nahi balki pragati karne hetu bhi aavashyak hai. Aur in sawalon ke jawaab money ki psychology ko gahraai se samajhne ke baad hi khoje jaa sakte hain. So isi sandarbh mein "Main Mann Hoon", "Main Gita Hoon" tatha "Sabkuch Psychology Hai" jaisi kai bestselling kitaabon ke lekhak Deep Trivedi money par apni most awaited book "Money ki Smart Psychology" prastut karte hain.Deep Trivedi ne is kitaab mein bataya hai ki money kamaana itna bhi mushkil nahi hai jitna dikhta hai. Darasal money kamaane ke sahi approach ke abhaav ke kaaran adhikaanshon ko money kamaana mushkil jaan pad raha hai. Aur yah kitaab money ka sahi approach sikhaane ke saath-saath hamaare mann ko manchaahi money kamaane hetu set bhi karti hai. Saath hi lekhak ne isk kitaab mein investment ke power ko bhi samjhaya hai tatha money ko us anusaar nivesh karne ke sujhaav bhi diye hain.Lekhak ne is kitaab mein yah bhi bataya hai ki honey trap se jyada khatarnaak money trap hai. Aur in money traps se nikalne tatha money ki smartness ko tackle karne hetu unhone kai upaay bhi sujhaaye hain. Saath hi unhone is kitaab mein money sambandhit samasyaon se aasaani se nipatne hetu ek 360 degree approach bhi diya hai. Sabse khaas baat yah ki lekhak ne is kitaab mein money kamaane ke saath-saath money se hone waale stress aur jhagdon ko mitaane ke bhi solutions diye hain. Ek vakya mein kahe toh yah kitaab money sambandhit sabhi problems ka one point solution hone ke saath-saath ek masterpiece bhi hai jo money ke tamaam pahluon ko bhinn-bhinn case studies ke sahaare saral bhasha mein spashttapoorvak samjhaati hai. Kul-milaakar yah kitaab aaj ke aadhunik yug mein bina kisi money problem ke ek samriddh jeevan jeene ki ekmaatra guide hai.