Mukhtasar Sahih Bukhari In Urdu(Hardcover, Urdu, Imam Abul Abbaas Zainuddin)
Quick Overview
Product Price Comparison
Uloome islamia mein ilme hadees ek itmiyaazi shaam ka haamil hai. mutoon hadees ki jama wa tarteeb muhaddiseen-e-izaam ka ek darakhshindah kaarnaamah hai jis se nasl-e-aadam qiyaamat tak sunnat-e-nabawi ke fiyooz-o-barkaat haasil karti rahegi. iss zakheerah-e-hadees ki sartaaj Imam Muhammad Bin Isamyeel ki Al-Jaame' Assahih hai jise qur'an majeed ke ba'd sahih tareen kitab ka darjah haasil hai. iss azeem kaarnaame ke bahut se taraajim, shurooh, ikhtisaar, hawaashi, ta'liqaat aur fawaaid likhe jaa chuke hain. iss zakheera-e-uloom-e-hadees ek azeem kaam woh ikhtisaar hai jise nawin sadi ke hijri ke naamwar muhaddis Imam Zainuddin Ahmed bin Abdul Lateef Azzubaidi ne tayyaar kiya hai.