Prachin Bharat Me Rajshastr Aur Shasan Padhati(Paperback, Hindi, Dr. Anuradha Singh)
Quick Overview
Product Price Comparison
Yah pustak Hindi me apne vishay ki atyant mauliik aur vishvasniya pustak hai. Yah katipay Pashchmi lekhako aur unka andhanukran karnewale Bhartiya itihaaskaro ki is dharana ko, ki pracheen Bharat me itihaas-lekhan ki koi parmpara thi hi nahi, dhwast karne wali pustak hai. British shashankal se hi phalli jati rahi is bhranti ke nirakaran ke liye Bhartiya itihas-drishti ki gahri samajhdari, vipul matra me uplabdh vadiik vangmay ke manthan ki kshmta aur vividh mat-matantro ki suspasht evam satik samkisha ke sahas ka jo parichay yah pustak karti hai vah anyantr bahut kam dikhai deta hai. Yah [pustak padhne ka arth hai vadiik sahintao, upnishdo, brahaman pantho, purano, 'Ramayan', 'Mahabharat', shruti-smriti sahitya, arthshastr, niti grantho, kaljayi kavyo aur akhyano se sidha sampark sadhkar yah janana ki pracheen Bharat shasan padhti me rajtantr aur prajatantr ka, bhavana aur vyavahar dono staro par, kitna sprharniya samnvya tha. Putak ka vishesh ullekhaniya veshishty yah hai ki is par pashchatya itihaaskaro ya paschim-pujak itihaskaro ka koi prabhav nahi hai. Isme Bharat ke itihas ki gveshana Bhartiya drishti se, Bhartiya stroto se ki gayi hai. Isliye pustak mauliik aur vishvasniya hokar adhyeta, adhyapak aur samanya pathak ke liye bhi pathniya ho gayi hai.