Qisas Ul Ambiya 1st Edition- Transliteration by Abu Arqam Tarique Usaid & Tarjuma: Maulana Ataaullah Sajid(Hardcover, Imam Ibne Kaseer, Transliteration by Abu Arqam Tarique Usaid)
Quick Overview
Product Price Comparison
Khaaliq-e-kaayinaat ne jab Bani Aadam ko rooy-e-zameen par basaaya to waqt guzarne ke saath saath bani nau insaan mein khaalis tauheed ki jagah shirk, but parasti aur deegar akhlaaqi kharaabiyaan dar aayin. Insaaniyat ko uski asli raah par laane ke liye Allah Ta'ala ne aasmaani hidaayat irsaal karne ka silsilah shuru kiya aur pay dar pay Ambiyaa-o-Rusul mab'oos farmaaye. Yeh nufoos-e-qudsiyah tamaam zaahiri aur baatini khoobiyon ke paikar the, ek taraf yeh giroh ambiya agar husn-o-jamaal mein yaktaa-e-rozgaar tha to doosri taraf husn-e-akhlaaq be misaal seerat-o-kirdaar aur a'ala darjah ki shujaa'at, himmat aur isteqaamat se bhi aaraastah tha. Unhon ne rushd-o-hidaayat ki raahein raushan keen, tauheed-e-Ilaahi ka parchaar kiya aur bhatke huye insaanon ko raah-e-raast par laane ke liye koyi daqeeqa faroguzaasht na kiya. Iss muqaddas farz ki adaayegi ki raah mein unhein be shumaar masaayib-o-mushkilaat ka saamna karna pada. Un par tarah tarah ke mazaalim dhaaye gaye. Kisi Nabi ko jalti huyi aag mein phenka gaya, kisi ka sar qalam kiya gaya aur kisi ko aare se cheer diya gaya. Lekin Ambiyaa Alaihimussalaam ko apni da'wat ki sadaaqat ka iss qadar yaqeen aur apne rab par iss qadar pukhtah bharosa tha ke woh muskuraate huye un tamaam masaayib ko bardaasht kar gaye, magar unke paaye sabaat mein adna si laghzish bhi nahin aayi. Qisasul Ambiya unhi misaali insaanon ka zikr-e-jameel aur unki paakeezah seeraton ka gul-dastah hai, Maktaba Al-Usaid ne Iss ‘azeem kitab ko badi irq rezi aur mehnat-o-lagan se Roman English mein tabdeel kiya hai. Ummeed ke Qaari’een-e-kiraam iss kitab se faaidah uthhaayenge. Aap iss kitaab ko padhte huye bahut si jadeed ma'loomaat apne qalb-o-zahan mein mahfooz kar lenge. Wa Sallallaahu Alannabiyyil Kareem