Samanya Adhyayan - Paper I by Pearson (For Civil Services Preliminary Examination 2019 )(Hindi, Paperback, Sheelwant Singh) | Zipri.in
Samanya Adhyayan - Paper I by Pearson (For Civil Services Preliminary Examination 2019 )(Hindi, Paperback, Sheelwant Singh)

Samanya Adhyayan - Paper I by Pearson (For Civil Services Preliminary Examination 2019 )(Hindi, Paperback, Sheelwant Singh)

Quick Overview

Rs.1599 on FlipkartBuy
Product Price Comparison
Pustak Ke Vishay main:Yeh pustak civil seva pariksha ko dhyan main rakhte huye krambadhta ke sath sath yathochit tathyon aur aankadon ko sambandhit vishay vastu ke saath is prakar sankalit ki gayi hai taki pathya samagri ko rochak aur prabhavshali banaya ja sake| pustak ke vibhinn khando ke pratyek adhyay ke ant main tvarit abhyas hetu abhyas saar sangrah aur paribhasik shabdavali ke sath sath vishayvar abhyas prasan aur model abhyas prashn diye gaye hain tatha pratyek khand ke prarambh main sambandhit vishay ki vigat varshon ke prashno ki pravratit vargikaran aur vishleshan ke sat samagr ranniti ke bare main vistaar poorvak paricharcha ki gayi hai|Pramukh Visheshtayen:- Samanya Adhyayan ke sabhi khando ke alag-alag baag main prastutikaran evam sambandhit vishay ke pathya samagri se pehle pravritit vishleshan evam adhyayan ranniti |- Samanya Adhyayan ke sabhi khando ke ant main paribhashik shabdavali aur vishayvar abhyas prashn|- Pratyek Adhyay ke ant main tvarit abhyas hetu adhyayay sar-sanchika|- Vartaman pariksha ke anurup vishayvastuvar vyakhyatamak hal prashan diye gaye hain |- Samanya adhyayan ke purak khandon main: kala evam sanskriti, paryavaran paristhitiki vigyan evam prodhyogiki, jansankhya evam nagrikaran ka sarinigat vishesh prastutikaran|- Bharat Sarkar ki nitiyon, karyakramon evam yojnao ka adhyatan sarinigatt prastutikaranVishesh Akarshan- civil Goa ke vigat paanch varshon(2014-2018) ke pooche gaye prashno ka vishayvar vykhhyatamak hal | - Lagbhag 4.500 abhyas hetu prashno ki vishesh shrinkhala |- Civil seva prarambhik pariksha 2019 hetu tristariya 300 prashno ka vishesh maodel abhyas prashn ( April mah main link dwara Pearson ki website par prashn diye jayenge)Dwitiya Sanskaran main naveen karya ki soochi:- Pratyek adhyay ke ant main sasasanchika main sanshodhan adhyatan kiya gaya hai|-Paryavaran evam paristhiti ke vishayvasto main sanshodhan- Samsamayiki ki sarinigat prastuti ke saath yojnayen, karyakram sarkari nitiyan, portal evam apps main diya gaya hai |- Samanya Adhyayan ke sabhi khandon main sarini evam chart tatha chitron ka prayog vishayvastu ko prabhavi banane ke liye kiya gaya |