Samkaleen Pashchatya Darshan - 3rd Edition(Hindi, Hardcover, Nityanand Mishra)
Quick Overview
Product Price Comparison
(Romanised in English): Samkaleen Pashchatya Darshan ka 2nd sanskaran vastute: ek parivardhit sanskaran hai. Pehle jahan is pustak main matra 12 adhyay theh, ab isme 20 adhyay hai. Ab isme bhashiya vishleshan ke naye-naye prakar, fraga, rile, austine, qwaine, stravasan, pashchatya adhuniktavad, fowcoult tatha derida jaise vishayon par 8 naye adhyay jode gaye hai. Is pustak ka pratham prakashan Shukla Book Depot, Patna, ne kiya tha. Shukla Book Depot ab astitva main nahin hai. Dwitya sanskaran ka prakashan Motilal Banarsidass, Patna, ne kiya hai. Pratham prakashan anek versh purva hua tha aur idher kai vershon se yeh pustak labhya nahin thi. Is karan anek darshanshastra premiyon, darshanshastra ke anekanek shikshakon evam vidhyarthion, mere anek mitron evam hitaishion ne is pustak ko sanshodhit evam parivardhit kar pune prakashit karne ke liye mujhe bahut utprerit kiya aur usi ka fal hai ki aaj yeh pustak ek naye roop main prakashit ho saki hai. Yeh pustak yadi kuch bhi labhprad ho saki tou mujhe atyadhik santosh milega. Pustak main nishchit roop se anek tathyaparak tatha bhashaparak trutiyan rahin hongi. Iske liye pathak mujhe avashya kshama karenge. Un trutiyon ki soochna yadi vey mujhe dene ka kashta karein tou main unhe aage ke sanskaran main door karne ka prayas karunga. Pustak ke is naye sanskaran ke prakashan ke sambandh main mai apne priye shishya Dr. Prabhunath Mandal ko (jo in dino Bhagalpur University main Darshanshastra vibhag ke adhyaksh hai.) Bahut aashirwad deta hoon. Inhone mujhe is pustak ke prakashan ke liye bahut adhik prerit kiya tha aur anek bahumulya sujhav bhi diye theh. Pustak ke prakashan main Motilal Banarsidass, Patna ke Manager Sh. Kamala Shankar Singh ne bhi bahut yogdan diya hai. Main inka aabhar manta hoon aur inhey bhi aashirwad deta hoon.