SIRATE NABAWI KĀ AȘL KHĀKAH (Insānīyat Ke Liye Uswa'e Kämil) - (Roman Urdu)(Soft Cover, Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri)
Quick Overview
Product Price Comparison
Is kitaab mein Huzoor Nabi Akram ﷺ ki Seerat Tayyibah ka asal khaaka (Real Sketch) Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri daamat barakaatuhum al-‘aliyah ki kutub aur ifadaat o malfoozat se murattab kiya gaya hai. Is kitaab mein Huzoor Nabi Akram ﷺ ki shakhsiyat, husn o jamal, seerat o kirdar, akhlaaq o ausaaf, rehmat o ra’fat, jood o sakha, ‘adl o insaaf, insani hamdardi, muhabbat o ulfat aur azmat o shaan ka asal khaaka pesh kiya gaya hai. Kitaab ke warq warq aur satar satar mein Paighambar-e-Islam ﷺ ki hayat bakhsh, faiz rasaan aur insaan dost seerat ki noorani kirnen phoot’ti nazar aayengi. Yeh imaan afroz kitaab Seerat Tayyibah par likhi janay wali kutub mein ahmiyat o moosariyat aur jame’iyat ke i’tibaar se bohat ishq aamez, rooh parwar aur faqeed-ul-misaal hai.Yeh kitaab darasal February 2021 mein taba’ hone wali kitaab A Real Sketch of the Prophet Muhammad ﷺ ka Urdu tarjuma hai.