Tum Laut Jao Priye / तुम लौट जाओ प्रिये(Hindi, Paperback, Manjul Mayank Shukla)
Quick Overview
Product Price Comparison
Prastut kavya sangrah mein 21 kavitaon ka sanklan hai. kavitaon ke vishay mukhyata kavi ki komal samvendanaaon ki abhivyakti hai. jeevan ke sangharshon mein kuchh aise kshan aaye honge, jab kavi se likhe bina n raha gaya hoga. ye kavitaayen aise hi palon ki sakshi hain. kavitayen lay, kshand, aur tuk se swatantra hain jisse shavdon aur maatraon par pabandi ka sankat nahin hai. bhav unmukta gagan mein bahte hain aur pathak ke dil ko anayas hi komalta se chhu jaate hain. in kavitaon mein prem, prakriti, jeevan, darshan, sangharsh, dukh, antardwand, vidroh, bhookh, bebasi, gaon, ghar, majdoor sabhi apni aavajon ke saath samne aate hain. yatharth ki jamin par vicharon aur bhavnaaon ki vividhta ka indradhanush khilati hain ye kavitayen.