Vidyalaya Sangathan, Nirdeshan evam Paramarsh(Paperback, Manish Kumar Singh , Niraj Kumar, Saurabh Sharma)
Quick Overview
Product Price Comparison
Shiksha ka Uddeshya sirf gyaan prapt karna nahi hai, balki ek suvyavasthit, saksham aur baal-kendrit shaikshik vatavaran banana bhi hai. Is uddeshya ki praapti ke liye vidyalay sangathan, nirdeshan aur paramarsh ki bhoomika atyant mahatvapurn hai.Vidyalay ka suvyavasthit sangathan shiksha ki quality ko badhata hai, nirdeshan shikshan-adhigam ko disha pradan karta hai, aur paramarsh vidyarthiyon ke vyaktigat, shaikshik evam vyavsaayik vikas mein sahayak hota hai.Inhi vishayon ko dhyan mein rakhte hue yeh pustak “Vidyalay Sangathan, Nirdeshan evam Paramarsh” taiyaar ki gayi hai. Ismein vidyalay sangathan ki sanrachna, prashasnik prakriyaen, netritva ke siddhant, shikshak ki bhoomika, nirdeshan ki paddhatiyan tatha paramarsh ke prakar aur techniques ka saral aur spasht varnan prastut kiya gaya hai. Vishesh roop se chhatra samasyaon ke samadhan, margdarshan ki aavashyakta aur prabhavi paramarsh sevaon ko vidyalay star par lagu karne ke upaayon par bhi prakash dala gaya hai.Yeh pustak vishesh roop se D.El.Ed. aur B.Ed. pathyakram ke shiksharthiyon ke liye upyogi hai. Aasha hai ki yeh aapke shaikshik adhyayan, prashikshan aur vyavsaayik vikas mein sahayak siddh hogi. Aapke sujhav is pustak ko aur behtar banane mein madadgar rahenge.Is pustak ke prakashan ke liye hum apna aabhar Dr. Sanjeeta Kumari, Upnideshika, Grizzly College of Education ki or prakat karna chahte hain ki unke margdarshan evam protsahan ka hi parinaam hai ki yeh pustak prakashit ho rahi hai. Saath hi is pustak ke prakashan mein mata-pita, gurujan evam Ishwar ka pratyaksh aur apratyaksh roop se sahyog raha hai, jinka hum sabhi aabhari hain.Is pustak ke lekhan mein agar koi galti ya truti reh gayi ho toh kripya dhyan aakrisht karayein, taaki agle sanskaran mein sanshodhan ke saath prakashit kiya ja sake. Aapki moolyavaan pratikriya ka sadaiv swagat rahega.Dhanyavaad!