Zindagi Retirement Ke Baad - Life After Retirement (Urdu Book)(Urdu, Hardcover, Dr. Syed Abuzar Kamaluddin)
Quick Overview
Product Price Comparison
Ye kitab retirement aur uske baad ke hyaat wa halaat ka na sirf bharpoor muhakma karti hai balke Quran aur Hadees ki roshni mein zindagi ke aakhri lamhe tak khud ko apne ghar, samaj, millat aur poori insaniyat ke liye khair saabit karte huye bharpoor zindagi kaise jee jaye, iski taraf rehnumai karti hai aur saath hi badhti umar ke masael, bimariyon, huqooq wa muamlaat ke baab mein duniya bhar ke dasateer, qawaneen aur idaron ke hawale se neez medical science aur mashiyat ki jadeed malumaat ki roshni mein apne aap ko jismani aur mali taur par khud kafeel rakhte huye pur waqqar zindagi kaise guzari ja sakti hai is silsile mein mukammal amli rehnumai ata karti hai. Ye kitab poori urdu duniya mein apne mauzu par pehli mabsoot aur mufassal tasneef hai jise baja taur par urdu aur islami literature mein ek musbat izafa mana ja sakta hai. Ye kitab buzurgon, naujawanon, mard wa khawateen, school, college, deeni jamiaat, samaji karkunaan, aur deeni milli jamaaton ke zimmedaran sab ke liye layaqe mutala hai. Zaban sada aur meyari hai. Poori kitab zaroori notice aur hawalon se muzayyan hai. Dr (Prof) Syed Abuzar Kamaluddin maroof ahle qalam wa islami scholar, mahir mashiyat, mahir taleem, samaji mufakkir, neez urdu, hindi aur angrezi mein ek darjan kitabon ke musannif, tameeri, musbat rejai aur mutawazan fikro nazar ke hamil danishwar hain.