Asambhav Kuchh Bhi Nahin...(Paperback, Guddu Kumar Rana)
Quick Overview
Product Price Comparison
"Asambhav kuch bhi nahin... phir bhi har koi safal kyun nahin hota? A Big Question??????"Yeh pustak likhne ki prerna aur iska sankshipt vivaran:Lekhak kehte hain ki jab main logon se milta hoon to adhikansh log apni samasyaon ke baare mein hi baat karte hain. Yeh samasyaayein jyadatar financial, health ya inhi se milti-julti hoti hain. Yahi is pustak ko likhne ka sabse bada kaaran bana aur mujhe isse likhne ki prerna mili.Yeh kitab logon ko unki uparyukt samasyaon se nikalne ki prerna aur marg batati hai.Yeh kitab ek yuva baalak ne likhi hai jinki umr sirf 34 saal hai. Is baalak ka jeevan bhi un adhikansh logon ki tarah hi tha – samasyaon se bhara hua. Lekin fir bhi yeh baalak kaise aaj asambhav ko sambhav bana kar, itni kam umr mein apna ek mukam bana paya?Lekhak ka maanna hai ki aaj adhikansh log keval isliye apne jeevan mein dukhi hain kyunki wo har samay apne vartamaan jeevan ki samasyaon ka rona rote rehte hain, lekin un samasyaon se nikalne ki thodi si bhi koshish nahin karte. Balki ve apne aap ko unhi samasyaon ke saath adjust karne mein lage rehte hain.Agar seedhi baat kahi jaaye to log sirf apne kharchon ko kam karne ki naakaam koshish karte rehte hain aur jeevan bhar dukhi rehte hain. Jabki lekhak ka maanna hai ki samay ke saath-saath lagatar chal kar, sakaratmak soch ko viksit karke aur hardwork karte hue jeevan mein aage badhte rehna hi apne jeevan se sabhi dukhon ko door karne ka ekmatra rasta hai.Jaise thahara hua paani bhi ek din sad jaata hai, waise hi behte hue paani mein taazgi aur shuddhata bani rehti hai.Yeh keval ek kitab nahi hai, balki aaj ke yuvaon ke liye apne sangharshon se paar paane ki ek ummid hai. Jeevan mein anavrat aage badhne aur jeevan ki sachchi khushi prapt karne ki rah aur prerna ka granth hai.Aaj ke market mein adhikansh kitabein bas banawati motivation, milawati kahaniyaan, kavitayein, aur manoranjan tak simit aatmkathayein hain – jo pathakon ke dil ko nahi chhoopati, isliye wo sirf kuch logon ke liye hi sarthak ban paati hain.Yeh kitab 100% sachchai pe adharit hai – ek asli aatmkatha aur real anubhavon ke aadhar par likhi gayi prernaadaayak kahaniyon aur kavitaon ka sangrah hai, jo sirf 34 saal ke ek yuva lekhak ne likha hai.Ateh: Yeh kitab logon ko ek real prerna degi, unhein asli anubhav ka ehsaas dilayegi, aur samay ke saath chal kar apni samasyaon se upar uthkar jeevan mein kaise sachchi khushi paayi ja sakti hai – iska margdarshan bhi karegi aur prerna bhi degi.