Chand Likhna Bhool Gaya Tu(Hindi, Paperback, Shiv Kumar) | Zipri.in
Chand Likhna Bhool Gaya Tu(Hindi, Paperback, Shiv Kumar)

Chand Likhna Bhool Gaya Tu(Hindi, Paperback, Shiv Kumar)

Quick Overview

Rs.150 on FlipkartBuy
Product Price Comparison
Kehte hain prem me jo dooba bas vahi paar utra. Ye saagar unke liye nahi hai, jo doobne ke dar se utre hi nahi. is saagar ko paar karne ke liye yah bilkul maayne nahi rakhta ki aapko tairne mein kitni mahaarat hasil hai....maayne rakhta hai toh aap me poori tarah se doobne ka hausala hai ya nahi aur haan aapki sachchai ke alawaa thoda toh kismat ka bhi saath jaruri chahiye hota hai. "Chaand Likhna Bhool Gaya Tu" ek aise adhure hridya ki dastan hai, jo prem me dooba, par shayad doobne mein bhi adhura rah gaya. yah pukar hai un khamosh raaton ki, jab chand to aasman mein hota hai, par vah chehra nahi hota- jisey dekh kar har raat chamakta tha. yah kavya-sangrah un lamhon ki tasveer hai, jab prem kewal paas hone ka naam nahi, balkiyaadon mein jeene ki peeda ban jata hai. har kavita, chaak-jigar ke kisi dhaage ke khichne ya tootne ki awaaz hai, yah awaz hai ek dil ki jo apne gam, apne dard ko chand se kehta hai- kabhi shikayat mein, kabhi prarthana mein, kabhi khamosh maun mein. yah pratibimb hai un adhure ehsaason ka, us khoye huye prem ka, jo har raat chandani mein fir se jeevit ho uthta hai. wo jo mil kar bhi nahi mila. ye panktiyan un sabhi ke liye hain jo kabhi kisi ko poore dil se chahte the, par paa naa sakey. yah kitab unke liye hai, jo chandni raat mein chaand ko dekh kar kisi ki yaad mein doob jaate hain. Unke liye chaand... ek maun bhi hai ...ek kavita bhi hai.