Mai Kaun hun Shabdon se Khelne Wali (Who Am I to Play with Words) / मैं कौन हूँ शब्दों से खेलने वाली - बचपन से सहेजे बिटिया के उद्गार - Bachpan se Saheje Bitia ke Udgar(Hindi, Paperback, Dr Kriti K) | Zipri.in
Mai Kaun hun Shabdon se Khelne Wali (Who Am I to Play with Words) / मैं कौन हूँ शब्दों से खेलने वाली - बचपन से सहेजे बिटिया के उद्गार  - Bachpan se Saheje Bitia ke Udgar(Hindi, Paperback, Dr Kriti K)

Mai Kaun hun Shabdon se Khelne Wali (Who Am I to Play with Words) / मैं कौन हूँ शब्दों से खेलने वाली - बचपन से सहेजे बिटिया के उद्गार - Bachpan se Saheje Bitia ke Udgar(Hindi, Paperback, Dr Kriti K)

Quick Overview

Rs.150 on FlipkartBuy
Product Price Comparison
Kya das-varshiy bachchi philosophical bate soch-samajh sakti hai? Kya koi Hindi-bhashi bachcha bina padhe-sune urdu ke bade-bade shabd bol sakta hai? Kya koi sadharan-parivar ka bachcha jivan ke vibhinn rang: sukh-dukh, asha-nirasha, jivan-maran, nyay-anyay, amiri-garibi, chuppi-maun, hansi-rudan, guru-shishy, khushi-gam, tana-bana, ram-naam, ya prakriti rahsyo bare soch sakta hai? Hairan mat ho! Miliye aisi anokhi bachchi se, jo anjane me hi sirf 1½ -varsh ki aayu me layabadh gane lagi. Apni 10-21 varsho tak rachit kavitaon me kabhi 10-varshiy nanhi prakriti ke drishyo me achchhai khoj-kar prakash-kirne bikhrati nazar aati hai, to kabhi achchhai-burai ke nazariye ko paribhashit karti! kabhi 13-varshiy balika aatma ki fatkar sunti hai, to kabhi khudko hi bantte dekhti hai! Kabhi prabhu se duniya ki krurta bare prashn karti, to kabhi usise apni chahat ko bayan karti dikhti hai! Yahi nahi, 14-varshiy balika kabhi samaj ke anyay v manav-jivan ka sach bayan karti, to kabhi anyay ke viruddh sangharsh ka marg dikhane ko kahti hai. Kabhi 15-varshiy kishori apni guru-ma ki mahanta v apne baunepan ka ahsas karati hai to kabhi usike diye sach ka varnan karti hui! Bachpan me jivan ke vibhinn rangon ka ahsas karati yeh balika manavta-samaj, prakriti-paryavaran v vigyan ke prati jo sanjidgi dikhati aai hai, vahi spirit America me Sr. paryavaran vaigyanik v meditation teacher hote hue bhi usne barkarar hi nahi rakhi, apitu kai guna jyada samajik sarokar se kary kar rahi hai.