Soochna Ka Adhikar Adhiniyam 2005 ...Saral Shabdon Mein(Hardcover, Devendra Kumar Singh)
Quick Overview
Product Price Comparison
RTI Act ko laagao hue 16 saal beet cheke hain, lekin hamare desh kii aabaadii ka ek bada hissa, abhi bhi, is kanoon se anjaan hai. Jo jagruk hain, unmein se kuchh hi naagrik RTI Act ke pravadhanon ke baare mein achhi samajh rakhte hain.Sarkaari karyalayon mein, RTI anurodhonon ko nibtaane ke liye, lok soochna adhikariyon ko naamit kiya gaya hai, lekin is vishay par uchit prashikshan kii kamii ke kaaran, ve aksar adhiniyam dwara nirdhaarit kiye gaye tareeke se anurodhon ka nibtaan karne mein vifal rahte hain. Iske parinaamswarup, badi sankhya mein appeals dayar hoti hain, jo soochna aayog mein lambit maamlon kii sankhya ko badhaati hain, aur is prakar, RTI Act ke uddeshya kii poorti nahin ho paati hai.Is pustak mein adhiniyam ke tahat soochna prapt karne kii vistrit prakriya dii hui hai. Is mein RTI Act ke vibhinna pravadhanon ke sahi arthon ko samjhaane ke liye court ke faisle bhi shamil hain. Saral shabdon mein, yah pustak, RTI aavedakon ke saath saath lok soochna adhikariyon, dono ke liye hi, ek aisi guidebook hai, jo yah samjhaati hai ki adhiniyam ke tahat kis prakar ki soochna prapt / pradan kii ja sakti hai.